Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Tera Jahaan Aabad Hain
Hindi Movie/Album Name: ELAAN (1947)
Singer(s): SURENDRA NATH
Hindi Lyrics:
tera jahaan aabaad hai
mera jahaan barbaad hai
fariyaad hai fariyaad hai
aai aasamaan fariyaad hai
tera jahaan aabaad hai
mera jahaan barbaad hai
tu khush ke tere baag ke
sab phool aakhir khil gaye
jin ki tamanna thi tujhe
aakhir wo tujhko mil gaye
mere muqaddar mein faqat
gam aur kisi ki yaad hai
tera jahaan aabaad hai
mera jahaan barbaad hai
tu kush ke tere haath mein
ummeed ka jaam aa gaya
meri mohabbat ke liye
rone ka paigaam aa gaya
hairat na kar ai bekhabar
duniya hai ek jaadu ka ghar
do dil hain ek ghar mein magar
ek shaad ek naashaad hai
fariyaad hai fariyaad hai
ai aasamaan fariyaad hai
tera jahaan
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Ek Baar Phir Se Aaja
Hindi Movie/Album Name: ELAAN (1947)
Singer(s): SURENDRA NATH
Hindi Lyrics:
ek baar phir se aaja
dil mein mere sama ja
ek baar phir se aaja
ai zindagi ki raahat
ai jannaton ki jannat
ek baar phir se aaja
dil mein mere sama ja
ek baar phir se aaja
hooren nisaar tujh par
sadaqe bahaar tujh par
( jaan-e-bahaar tu hai
dil ka qaraar tu hai ) -2
tujhko kasam haya ki
apni har ek ada ki
ik baar muskara ja
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja
dekha hai jab se tujhko
deewana ho raha hai
main is se aur ye mujhse
begaana ho raha hai
dil hai magar nahi hai
sab kuch hai par nahi hai
tere bagair duniya
ya khwaaab ya khilauna
is khwaab se jaga ja
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja -2
dil mein mere samaan ja
ek baar phir se aaja
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Aaine Mein Ek Chaand
Hindi Movie/Album Name: ELAAN (1947)
Singer(s): AMIRBAI, SURENDRA NATH
Hindi Lyrics:
surai : aaine mein ek chaand si surat nazar aayi
sure : aaine mein ek chaand si surat nazar aayi
surai: sau baar hui jis pe fida saari khudaai
ho surat nazar aayi
sure : sau baar hui jis pe fida saari khudaai
ho surat nazar aayi
sure : (aankhon mein tamannaao ka aabaad zamaana
surai : har baat kuch aaisi ke mohabbat ka fasaana ) -2
sure : phoolon ne nazaaqat tere ruksaar se paayi
ho surat nazar aayi
aaine mein ek chaand si surat nazar aayi
sure : ( dhalka hua aanchal ho qayamat ki adaayen
surai : deta hai mera dil tujhe reh-reh ke duaayen ) -2
sure : aa husn salaamat rahe aabaad rahe tu
surai : ai husn salaamat rahe aabaad rahe tu
sure : tu hai to tere dam se hai aabaad khudai
surai : tu hai to tere dam se hai aabaad khudai
o surat nazar aayi
aaine mein ek chaand si soorat nazar aayi
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Aai Ajal Ai Zindagi
Hindi Movie/Album Name: ELAAN (1947)
Singer(s): AMIRBAI
Hindi Lyrics:
haan
aai ajal ai zindagi
gam ka zamaana tal gaya
ab kya girengi bijaliyaan
jab aashiyaan hi jal gaya
aa o shab-e-gam aaye ja
saare jahaan par chhaaye ja
ab tu hi tu rah jaayegi
ab kal na haragiz aayegi
wo din jo dushman tha tera
wo zindagi ka din mera
wo din hamesha ke liye
haan din wahi din bhar gaya
gam ka zamaana tal gaya
is umra ka awwalapana
is umra ka aakirapana
ek jhooth ka darbaar hai
baatilapana zaahilapana
ye zindagi kuch bhi nahi -2
naatak ka jhootha khel hai
jab tak chala so chal gaya
gam ka zamaana tal gaya
haan
aai ajal aai zindagi
gam ka zamaana tal gaya
ab kya girengi bijaliyaan
jab aashiyaan hi jal gaya