Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Thehre Hue Paani Mein
Hindi Movie/Album Name: DALAAL
Singer(s): ANURADHA PAUDWAL
Hindi Lyrics:
(thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre) - 2
thehre hue paani mein kankar na maar
tere liye hu main anjaani
mere liye hai tu begana
begaane ne anjaani ka
dard bhala kaisa pehchana
jo iss duniya ne na jaana
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein
sab phoolon ke hai deewane
kaaton se dil kaun lagaye
bhole raahi main hu kaata
kyon apna daaman uljhaaye
rab tujhko kaaton se bachaye
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein
timhi bataao kaise basegi
dil ke armaanon ki basti
khwaab adhure reh jaayenge
mit jaayegi inki hasti
chalti nahi hai ret pe kashti
(thehre hue paani mein kankar na maar saanwre
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre) - 2
thehre hue paani mein
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Na Unees Se Kam Hu
Hindi Movie/Album Name: DALAAL
Singer(s): UDIT NARAYAN
Hindi Lyrics:
arey bhai mere bandhu mere bhai mere aana
yeh lallu kya kehta hai humko batana
jahaan tak meri nazar jaa rahi hai
yeh ginti mein kaahe khata kha rahi hai
yeh unees mujhe leke dubega bhaiyya
aur ikkis kahe mujhe tadpa rahi hai
arey bitch ki mindi kidhar gayi
idhar gayi ya udhar gayi
kis khadde mein utar gayi
jane bhi do jidhar gayi
(na unees se kam hu na ikkis se jyada
deewano ka najaane kya hai iraada
zara baat khul ke toh samjha do bhai
main hu bhola bhala main hu seedha sadha) - 2
na unees se kam ho na ikkis se jyada
zara theharana bhaisaab
wat nonsense
arey re re re aap toh hai memsaab
ka kare hum bahut confuse hu
zara rukiya memsaab
you shutup
maaf karna aap toh hai bhaisaab
ka kare hum bahut confuse hu
(yeh kaisa gajab hain jagat ka achamba
jise keel samjho nikalta hai khamba) - 2
yeh ladki ne ladke ki pakdi kalaai
ya ladke ne ladki pataai hai bhai
koi toh bataye yeh nar hai yah maada - 2
main hu bhola bhala main hu seedha sadha
na unees se kam hu na ikkis se jyada
deewano ka najaane kya hai iraada
zara baat khul ke toh samjha do bhai
main hu bhola bhala main hu seedha sadha
na unees se kam hu na ikkis se jyada
deewano ka najaane kya hai iraada
unees aur ikkis yaane ke naues ikka
boss kya number bataya abhi lagake aaya
ah ha gaate toh achha ho guru par
is line mein kabse ho shuru
(abhi iss jagah pehli hi baar aaye
badi minnaton se gaye hai bulaye) - 2
yeh ginti ke chakkar mein jabse pade hain
jaha se chale the wahi pe khade hai
akal ka nikalne laga hai burada - 2
main hu bhola bhala main hu seedha sadha
na unees se kam hu na ikkis se jyada
deewano ka najaane kya hai iraada
zara baat khul ke toh samjha do bhai
main hu bhola bhala main hu seedha sadha
na unees se kam hu na ikkis se jyada
deewano ka najaane kya hai iraada
arey bitch ki mindi kidhar gayi
idhar gayi ya udhar gayi
kis khadde mein utar gayi
jane bhi do jidhar gayi
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Mar Gaye Mar Gaye
Hindi Movie/Album Name: DALAAL
Singer(s): UDIT NARAYAN, ALKA YAGNIK
Hindi Lyrics:
arey mar gaye mar gaye fokat mein hum
koi toh humko liyo bachay
(aaisa teer chala mere dil par
jiski maar sahi na jaay) - 2
dil ki baat atak gayi dil mein
muh se haay kahi na jaay’
tere nain pe kavita likhe
kalam tuut ke reh reh jaay
teri zulf ki baat chale toh
bin baadal barkha ho jaay
aaisa teer chala mere dil par
jiski maar sahi na jaay
goriyo..
arey mar gaye mar gaye fokat mein hum
koi toh humko liyo bachay
teri chaal ki kya misaal de hirni naagin bhi sharmaay
mere dil pe giri bijliyan kamar pe jab choti lehraay
teri roop ki dhup ke aage darpan bhi tukde ho jaay
tere badan ki mehak se gori chandan bhi feeka pad jaay
aaisa teer chala mere dil par
jiski maar sahi na jaay
goriyo..
arey mar gaye mar gaye fokat mein hum
koi toh humko liyo bachay
kaliyon ki hai tu shehzaadi phoolon ki mallika kehlaay
har ek chaman mein charcha tera har bhanvra tere guun gaay
jitni bhi tareed kare hum utni hi kam padti jaay
ab toh ang laga le mujhko mera janam safal ho jaay
aaisa teer chala mere dil par
jiski maar sahi na jaay
Chore oh
arey mar gaye mar gaye fokat mein hum
koi toh humko liyo bachay
teri meethi baaten sunkar dheero misri ghul ghul jaay
main deewani ho gayi teri tune mujhko diya fasaay
teri meethi baaten sunkar dheero misri ghul ghul jaay
Chore oh
prem dagar kaaton se bhari hain hum dete hain tujhe bataay
pyar ke raste pe le jaake kahi tu humko bhuul na jaay - 2
haay yeh tune kya keh dala praan jaaye par wachan na jaay
ek janam ki baat chhod tu denge saaton janam nibhaay
ab toh ang laga le mujhko mera janam safal ho jaay - 2
aaisa teer chala mere dil par
jiski maar sahi na jaay
goriyo…
chore ho…
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Gutur Gutur Chadh Gaya Upar Re
Hindi Movie/Album Name:DALAAL
Singer(s): ILA ARUN
Hindi Lyrics:
(gutur gutur - 4
are chadh gaya oopar re ) - 2
atariya pe lotan kabootar re
gutur gutur - 4
panchhi deewana chugh kar daana
udd gaya phar phar re
atariya pe haa
atariya pe haai
atariya pe lotan kabootar re
marr gaya upar re
gujariya pe lootan kabutar re
gutur gutur - 4
panchhi deewana paaye jaha dana
aaye wahi mud mud ke
atariya pe haa
atariya pe haai
atariya pe lotan kabootar re
are chadh gaya oopar re
atariya pe sona kabootar re
baalon mein to pankh daale hain goriya
kitane kabootar maare hain goriya
tune sikaar karke
atariya pe lotan kabutar re
gutur gutur - 4
yu toh kayi the paagal kabutar
dil le udda ek ghayal kabutar
nazaron se waar karke
atariya pe sona kabutar re
are chadh gaya oopar re
atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 4
sona kabutar leay uda chunri
chunri ke sang mori leay gaya mundri
dhak dhak yeh dil dhadke
atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 4
arey chunri mein taarein bhar de kabutar
mundri mein moti chadh de kabutar
dil ka ilaaj karke
atariya pe sona lootan re
gutur gutur - 4
are chadh gaya oopar re
atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 4
dekhi hai toh marr marr jai hai kabutar
chali hai jo tankar aaise matakkar
jobana pahaad karke
atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 4
main to chalungi matak matak kar
neeyat kharaab kar daale kabootar
dungi hazaar jhatake
atariya pe sona kabutar re
are chadh gaya oopar re
atariya pe sona kabutar re
abake mila to udane na dungi
aur kaheen daana chunane na doongi
rakhungi daboch kar ke
atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 4
haay zulmi bilaiya jo dhar daboche
kaahe kabutar udane ki soche
mit jaihe haay karake
atariya pe lotan kabootar re
chadh gaya upar re atariya pe sona kabutar re
mar gaya upar re atariya pe lotan kabutar re
panchhi deewana chugh kar daana
udd gaya phar phar re
atariya pe sona kabutar re
chadh gaya upar re atariya pe sona kabutar re
gutur gutur - 8