Garib Jaan Ke Ham Ko Na Tum Daga Dena
Send to a friend:Hindi Song Title: Garib Jaan Ke Ham Ko Na Tum Daga Dena
Hindi Movie/Album Name: CHHOO MANTAR
Singer(s): MOHAMMAD RAFI
Hindi Lyrics:
garib jaan ke ham ko na tum daga dena
tumhin ne dard diya hai tumhin dava dena
garib jaan ke
lagi hai chot kaleje pe umr bhar ke liye
tadap rahe hain muhabbat mein ik nazar ke liye
nazar milaake
nazar milaake nazaron se na tum gira dena
tumhin ne dard diya hai
tumhaari yaad hamein har ghadi sataayegi
tumhaare bin to hamein maut bhi na aayegi
tumhaari yaad ko
tumhaari yaad ko mushakil hai ab bhula dena
tumhin ne dard diya hai
