Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: deewaanaa mastaanaa huaa dil
Hindi Movie/Album Name: BAMBAI KA BABU
Singer(s): ASHA BHOSLE, MOHHAMAD RAFI
Hindi Lyrics:
deewaanaa mastaanaa huaa dil
jaane kahaa ho ke bahaar aayee
tan ko mere chhuye ghat kaalee
chhede lahar, lahar matawaalee
raag koee anajaanaa
kuchh anakahee kahe meree chitawan
bole jiyaa ye thee meree dhadakan
yek nayaa afasaanaa
saawan lagaa machal gaye baadal
dekho jise huaa wahee paagal
kaun huaa diwaanaa
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Saathi Na Koi Manzil
Hindi Movie/Album Name: BAMBAI KA BABU
Singer(s): MOHAMMAD RAFI
Hindi Lyrics:
Saathi na koi manzil
diya hay na koi mehfil
chala mujhey ley key aaye dil
akela kahan.
Saathi na koi manzil
hamdam koi miley kahin
aasey naseeb hi nahin
be dard hay zameen
dooor aasman.
Saathi na koi manzil
diya hay na koi mehfil
chala mujhey ley key aaye dil
akela kahan.
Saathi na koi manzil
galiyan hein apne desh ki
phir bhi hein jaise ajnabi
kis ko kahey koi
apna yehan.
Saathi na koi manzil
diya hay na koi mehfil
chala mujhey ley key aaye dil
akela kahan.
Pathar kay aashna miley
pathar kay devta miley
sheshey sa dil liye
jaoon kahan
Saathi na koi manzil
diya hay na koi mehfil
chala mujhey ley key aaye dil
akela kahan.
Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Chal Ree Sajni Ab Kya Soche
Hindi Movie/Album Name: BAMBAI KA BABU
Singer(s): MUKESH
Hindi Lyrics:
Chal Ree Sajni Ab Kya Soche
Kajraa Na Beh Jaaye Rote-Rote
Chal Ree Sajni…
Baabul Pachtaye Haathon Ko Mal Ke
Kaahe Diya Pardes Tukde Ko Dil Ke
Aansoo Leeye Soch Raha Door Khadha Re
Chal Ree Sajni…
Mamta Ka Aanchal Gudiyon Ka Kangna
Chhoti Badi Sakhiyaan Ghar Gali Angna
Chhoot Gaya, Chhoot Gaya, Chhoot Gaya Re
Chal Ree Sajni…
Dulhan Banke Gori Khadhi Hai
Koi Nahin Apna Kaisi Ghadi Hai
Koi Yahaan, Koi Wahaan, Koi Kahaan Re
Chal Ree Sajni …