Send to a friend:

Loading ...
Hindi Song Title: Diya Jalaakar Aap Bujhaaya
Hindi Movie/Album Name: BADI MAA
Singer(s): NOORJEHAN
Hindi Lyrics:
diya jalaakar aap bujhaayaa- 2
tere kaam niraale, niraale
dil tod ke jaanevaale- 2
diya jalaakar aap bujhaaya
phuul pavan aur nadi kinaara
karat ishaare saanjh ka taara
vyaakul hai man mera aajaa- 3
o chhod ke jaanevaale
dil tod ke jaanevaale - 2
diya jalaakar aap bujhaaya
(dol rahi hai man ki nayya
kahaan chhupe ho aao kevayya) - 2
gam ka tuufaan aane ko hai
chhaaye baadal kaale - 2
o chhod ke jaanevaale
dil tod ke jaanevaale
diya jalaakar aap bujhaaya
Send to a friend:

Loading ...
 Hindi Song Title: Aa Intazaar Hai Tera
Hindi Movie/Album Name: BADI MAA
Singer(s): NOORJEHAN
Hindi Lyrics:
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera - 2
aaja na sata aur
aaja na rula aur - 2
aaja ki tu hi hai meri ummid ka taara
ummid ka taara - 2
sangam meri kushiyon ka nigaahon ka sahaara
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera - 2
aakar meri jaagi huyi raaton ko sula de
kho jaauun, kho jaauun mujhe aisa koyi git suna de
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera - 2
aaja aajaa
ab aur sitam,
ab aur sitam ham se uthaaye nahin jaate - 2
aa aa aa aa
aur raaz mohabbat ke,
aur raaz mohabbat ke chhupaaye nahin jaate
chhupaaye nahin jaate
aa intazaar hai tera
dil beqaraar hai mera - 2