Hindi Song Lyrics

panchhee ban mein piyaa piyaa


panchhee ban mein piyaa piyaa

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

 Hindi Song Title: panchhee ban mein piyaa piyaa
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): LATA MANGESHKAR

Hindi Lyrics:

panchhee ban mein piyaa piyaa gaane lagaa
sakhee haathon se dil meraa jaane lagaa

sun paapee kee dhoon meraa dhadake hain jee
mile nainaa kisee se huyee main baawaree
majaa jeene kaa ab muze aane lagaa

gayee tanaman main haar, ladee ayesee najar
dil de ke rahee naa muze apanee khabar
meraa nanhaa saa jiyaa balakhaane lagaa


duniyaa badal gayee

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: duniyaa badal gayee
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): NAUSHAD

Hindi Lyrics:

duniyaa badal gayee, meree duniyaan badal gayee
tookaden huye jeegar ke, chhuree dil pe chal gayee
duniyaa badal gayee, meree duniyaan badal gayee
ayesee chalee hawaa ke khushee dukh mein dhal gayee

dil khaak ho gayaa, ye kisee ko khabar nahee
sab ye samaz rahe hai, tamannaa nikal gayee

barabaad ho gayaa meree ummeed kaa chaman
jis daal par kiyaa thaa baseraa wo jal gayee


Zamane Mein Khushi Ke Saath

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Zamane Mein Khushi Ke Saath
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): TALAT

Hindi Lyrics:

zamane mein khushi ke saath, lakhon gam bhi hote hain
jahan shehnai bajti hain, wahan matam bhi hote hain

mera jeevan sathi bichhad gaya, lo khatam kahani ho gayi
lo khatam kahani ho gayi

(kismat ne kiye jo dil pe sitam
do chahane wale mil na sake ) - 2
kehane ko bahar aaayi thi magar
do phul khushi ke khil na sake
armanon ka gulshan ujad gaya
barbaad jawani ho gayi
lo khatam kahani ho gayi

(dil deke yahan sab haar gaye
duniya mein hamari jeet kahan ) - 2
hothon pe hain shikwe kismat ke
vo pyar bhare ab geet kahan
jab khel he dil ka bigad gaya
har baat purani ho gayi
lo khatam kahani ho gayi


Na Socha Tha Yeh

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Na Socha Tha Yeh
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): SHAMSHAD

Hindi Lyrics:

na socha tha ye -2
dil lagane se pehale -2
ke tootega dil -2
muskuraane se pehale -2

ummidon ka suraj -2
na chamka na dooba -2
gahan pad gaya -2
jagmagane se pehle -2

na socha tha ye -2
dil lagaane se pehale -2

agar gam uthana -2
tha kismat mein apni -2
kushi kyon mili -2
gam uthaane se pehle -2

na socha tha ye -2
dil lagaane se pehle -2

kaho bijaliyon se -2
na dil ko jalaayen -2
mujhe phoonk den -2
ghar jalaane se pehle -2

na socha tha ye -2
dil lagaane se pehle -2


Milte hi aankhein dil huwa

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Milte hi aankhein dil huwa
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): TALAT MEHMOOD

Hindi Lyrics:

Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika
Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika
Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika
Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika

Poochho na mohabbat ka asar, haay na poochho
haay na poochho
Poochho na mohabbat ka asar, haay na poochho
haay na poochho
Dam bhara mein koyi ho gaya, parwaana kisika
Dam bhara mein koyi ho gaya, parwaana kisika
Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika
Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika

Hanste hi na aa jaaye kahi, aankho mein aansoo
aankho mein aansoo
Hanste hi na aa jaaye kahi, aankho mein aansoo
aankho mein aansoo
Bharte hi chhalak jaaye na, paimaana kisika
Bharte hi chhalak jaaye na, paimaana kisika
Afsaana mera ban gaya, afsaana kisika
Milte hi aankhein dil huwa diwaana kisika


Lagan More Man Ki Balam

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Lagan More Man Ki Balam
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): LATA MANGESHKAR

Hindi Lyrics:

lagan more man ki balam nahi jaane -2
balam nahi jaane sajan nahi jaane
lagan more man ki balam nahi jaane

laaj ki maari main to munh se na bolu
munh se na bolu
bhed kisi se kabhi dil ke na kholu
dil ke na kholu
thes jiya pe laage -2
chhup-chhup ro lu -2
tadap birhan ki balam nahi jaane
balam nahi jaane sajan nahi jaane
lagan more man ki balam nahi jaane

doob na jaaye kahi aasha ke taare
aasha ke taare
nain chura ke haay saiyaan hamare
saiyaan hamare
neha lagaane gaye -2
sautan dwaare -2
kadar mere dhan ki balam nahi jaane
balam nahi jaane sajan nahi jaane
lagan more man ki balam nahi jaane


Jhingoda Jhingoda

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Jhingoda Jhingoda
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): TALAT, SHAMSHAD , RAFI

Hindi Lyrics:

ko : jhingoda, jhingoda, jhing jho layi
hai ho rabba hai ho

ra : nadiya mein utha hai shor
chhayi hai ghata ghanaghor
jaana door hai

sha : ha
nadi kinaare, saath hamaare, shaam suhaani aayi
chaand ke rath par baith ke jhil-mil -2
raath ki raani aayi
shaam suhaani aayi

ta : aa ha ha ha
naye zamaane, naye taraane, le ke jawaani aai
sun-sun jisko naach uthe dil -2
aaisi kahani laai
shaam suhani aai

ko : jhingodaa, jhingodaa, jhing jho laayi
hai ho rabba hai ho -4

ra : nadiya mein utha hai shor
chayi hai ghata ghanghor
jaana door hai

sha : o
dharti par aakash hai jab tak
ho
dil ka nagar aabaad rahega
ta : dhalta suraj dhoop sunahari
aaj ka mausam yaad rahega -2
sha : rut ye rangeeli pyaar ki saajan -2
ban ke nishaani aayi
shaam suhaani aayi

do : nadi kinaare, saath hamaare, shaam suhaani aayi

ta : aa


Jadu Bhare Naino Mein

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

 Hindi Song Title: Jadu Bhare Naino Mein
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): SHAMSHAD

Hindi Lyrics:

jaadu bhare naino mein
jaadu bhare
jaadu bhare naino mein dole jiya, teri kasam

dil hai tera deewana
dil hai tera
dil hai tera deewana bole piya, teri kasam

main saawan
main saawan aur tu ghata
teri-meri preet hai -2
jo dhun papeeha gaaye -2
wo hi mera geet hai -2
maine tujhe dil de ke
mainne tujhe
mainne tujhe dil de ke jeet liyaa, teri qasam

haathon mein haath rahe
haathon mein haath
haathon mein haath rahe -2
ho
haath nahi chodana
saath nahi chodana
o
dekho ji yaad rahe -3
o
vaada nahi todana -2
koi nahi is dil mein
koi nahi
koi nahi is dil mein tere siwa, teri kasam


Huve Majboor Ham

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Huve Majboor Ham
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): LATA, SHAMSHAD

Hindi Lyrics:

sha : huve majaboor ham aur dil mohabbat karke pachhataya
khushi ko lootkar meri bataao tumane kya paaya

kisi ke dil mein rehna tha -2
to mere dil mein kyon aaye
basaayi thi koi mehafil -2
to is mehafil mein kyon aaye
kisi ke dil mein …

la : mera dil le ke mere pyar ko thukra diya tumne
sahara deke aankhein pher li ye kya kiya tumne
kisi ke dil mein …

sha : khabar kya thi ke armaanon pe tum bijli gira doge
meri hansti hui aankhon ko rona bhi tum sikha doge
kisi ke dil mein …

la : tumhare geet main gaati thi hardam ho ke deewani
mere dil ki magar aawaaz tumne na pehachaani
kisi ke dil mein …
sha : basaai thi koi …


Husn Waalo Ko Na

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Husn Waalo Ko Na
Hindi Movie/Album Name: BABUL
Singer(s): TALAT

Hindi Lyrics:

husn waalo ko na dil do ye mita dete hain
zindagi bhar ke liye rog laga dete hain

khoob karte hain ye beemaar-e-mohabbat ka ilaaj
dard badhata he rahe aaisi dava dete hain

haay kuch in ki mohabbat ka bharosa he nahi
pehale dil lete hain phir dil ko bhula dete hain

dil lagaaye na zamaane mein haseeno se koi
log kehate hain ki ye dil ko daga dete hain

Pages: 1 2