Hindi Song Lyrics

Kyaa Jaane Amiri


Kyaa Jaane Amiri

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Kyaa Jaane Amiri
Hindi Movie/Album Name: AAJ KI RAAT
Singer(s): MEENA KAPOOR

Hindi Lyrics:
kyaa jaane amiri jo garibi kaa mazaa hai
daulat unhein di hai to hamein sabr diyaa hai

ham sone ki chaandi ki tamannaa nahin karate
dukh dard mein bhi hanste hain shikavaa nahin karate
qisamat ne garibi di dil to badaa hai
kyaa jaane amiri

phuulon ke bichhaune pe soti hai amiri
kaanton ke bistar pe bhi hansti hai faqiri
vo kaantaa bhi hai phuul jo maalik ne diyaa hai
kyaa jaane amiri

hai jeb agar garm to kuchh khaa jaa khilaa jaa
daulat se na kar payaar ise yuun hi lutaa jaa
naadaan ye paisaa bhi kabhi saath gayaa hai
kyaa jaane amiri


Din Kushi Kaa Chhup Gayaa

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Din Kushi Kaa Chhup Gayaa
Hindi Movie/Album Name: AAJ KI RAAT
Singer(s): SURAIYA

Hindi Lyrics:
din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi - 2
din kushi kaa chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2

yaad aa ke rah gayi pyaar ki kahaaniyaan
aansuyon mein bah gayin
pyaar ki kahaaniyaan - 2
pyaar ban ke jo khili
wo kali murajhaa gayi - 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2

haay kyuun bichhad gaya - 2
dil se dil milaa huaa - 2
tuu nahin to zindagi
charaag hai bujhaa huaa - 2
do dilon ke pyaar mein
kyuun judaayi aa gayi - 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2

ruuth ke chale gaye din meri bahaar ke
phuul hi bikhar gaye
zindagi ke haar ke - 2
dil ki aas tuut ke
aansuyon mein aa gayi - 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi - 2


Aaj Ki Raat Mohabbat Hai Jawaan

Send to a Friend:





Send to a friend:
1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...

Hindi Song Title: Aaj Ki Raat Mohabbat Hai Jawaan
Hindi Movie/Album Name: AAJ KI RAAT
Singer(s): SURAIYA

Hindi Lyrics:
aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
aaj ki raat
aaj ki raat mohabbat hai jawaan
koyi dekhe meri duniyaa kaa samaan - 2
aaj ki raat
aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
aaj ki raat

koyi ayegaa yahaan pyaar ki duniyaa le kar - 2
dil mein aramaan to aankhon mein tamannaa le kar - 2
muskaraayegaa mohabbat kaa jahaan - 2

aaj ki raat
aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
aaj ki raat

jab sunaayegaa mohabbat kaa fasaanaa koyi - 2
pyaar mein duubaa huaa dil kaa taraanaa koyi - 2
do dil ho jaayenge phir ek yahaan - 2

aaj ki raat
aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
aaj ki raat

raat ye pyaar ki hai isakaa saveraa na ho - 2
aaj ke chaand ki qismat mein andheraa na ho - 2
aaj ki raat rahe yuun hi jawaan - 2

aaj ki raat
aaj ki raat mohabbat hai jawaan - 2
aaj ki raat