Jaane kaisa hai mera diwaana
Send to a friend: Â Hindi Song Title: Jaane kaisa hai mera diwaana
Hindi Movie/Album Name: AANSOO BAN GAYE PHOOL
Singer(s): KISHORE KUMAR, ASHA BHONSLE
Hindi Lyrics:
Jaane kaisa hai mera diwaana
Kabhi apna sa lage, kabhi begaana
Badi bholi ho, ye bhi na jaana
Kabhi apno ko nahi kehte begaana
Yu bhi jeeta tha magar koyi armaan na the
Jab talak aap mere dil ke mehmaan na the
Dil ke mehmaan na the
Tumse meheka hai mera viraana
Kabhi apno ko nahi kehte begaana
Main woh aazaad ghata tumne jisse baandh liya
Apni aankho mein mujhe naya aakaash diya
Naya aakaash diya
Yahi chhota sa mera afsaana
Kabhi apna sa lage, kabhi begaana
Kabhi chhede hai pawan kabhi chhede hain piya
Yahi to hoga sanam tumne jab pyaar kiya
Tumne jab pyaar kiya
Mere paas aao chhodo sharmaana
Kabhi apno ko nahi kehte begaana
